Doobte hue aadmi ne
Pull par chalte hue aadmi ko
Aawaz lagayi "bachao bachao"
Pull par chalte aadmi ne
neeche Rassi fenki aur kaha aaoo...
Nadi mein dobta hua aadmi
Rassi nahi pakad pa raha tha
Rah rah kar chillaa raha tha
Mein marna nahi chahta
Zindagi badi mehengi hai Kal hi to meri ek MNC mein naukri lagi hai
Itna sunte hi pul par chalte Aadmi ne
apni rassi kheench li Aur bhagte bhagte wo MNC gaya
Usne wahan ke HR ko bataya ki
Abhi abhi ek aadmi doobkar mar gaya hai
Aur is tarah aapki company mein Ek jagah khali kar gaya hai...
Mein berozgaar hoon muje le lo...
HR boli dost tumne der kar di,
ab se kuch der Pehle humne us aadmi ko lagaya hai
Jo usse dhakka de kar tumse pehle yahan aaya hai !!!
Massom sa chehra lekar, woh laut ayaa।
"pro-active" na hone ka, usko jhatka ayaa...
Is MNC culture ki Yahi strategy hai॥
Hum toh doobeingey hi doobeingey sanam tumhe bhi le doobeingeeeey...
Usne socha, yeh corporate duniya hai doston...
shayad iss survival of fittest ki race mey....yeh he thi vajeh, berozgaar reh jaane ki.
A hindi poem in roman script. Not matching.
जवाब देंहटाएंU can re publish in Devnagari script.
Good luck.
Avaneesh